fursaten hum mein utarti hain Thahar jati hain
fursateñ ham meñ utartī haiñ Thahar jaatī haiñ
koshisheñ itnī suhūlat se to mar jaatī haiñ
'umr jī lete haiñ ehsās nahīñ hotā hai
kaisī sadiyāñ haiñ jo lamhoñ meñ guzar jaatī haiñ
is liye log jalā lete haiñ chaukhaT pe charāġh
ye havā.eñ bhī to har shaam ko ghar jaatī haiñ
raah ke ḳhauf se Darnā nahīñ mere logo
kashtiyāñ bhī to samundar meñ utar jaatī haiñ
apnī tanhā.ī meñ jab jab bhī pukārūñ tujh ko
ye sadā.eñ haiñ ki har samt bikhar jaatī haiñ
fursaten hum mein utarti hain Thahar jati hain
koshishen itni suhulat se to mar jati hain
'umr ji lete hain ehsas nahin hota hai
kaisi sadiyan hain jo lamhon mein guzar jati hain
is liye log jala lete hain chaukhaT pe charagh
ye hawaen bhi to har sham ko ghar jati hain
rah ke KHauf se Darna nahin mere logo
kashtiyan bhi to samundar mein utar jati hain
apni tanhai mein jab jab bhi pukarun tujh ko
ye sadaen hain ki har samt bikhar jati hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.