fusun-e-harf le gaya tilism-e-KHwab le gaya
fusūn-e-harf le gayā tilism-e-ḳhvāb le gayā
varaq-varaq usī kā thā vahī kitāb le gayā
abhī nigah jhukī na thī ki maiñ ne hoñT rakh diye
savāl vo na kar sakā magar javāb le gayā
mujhe pata thā raah meñ charāġh jal na pā.egā
vahāñ gayā to apne saath māhtāb le gayā
mirī azal kī tishnagī bujhā gayā vo narm-dil
nashāt-e-āb de gayā ġham-e-sarāb le gayā
thā dekhne meñ sāda-rū magar baḌā zahīn thā
mujhe gunāhgār kar ke vo savāb le gayā
nigāh-e-imtiyāz kā shikār maiñ huā 'imām'
yahāñ vo ḳhaar de gayā vahāñ gulāb le gayā
fusun-e-harf le gaya tilism-e-KHwab le gaya
waraq-waraq usi ka tha wahi kitab le gaya
abhi nigah jhuki na thi ki main ne honT rakh diye
sawal wo na kar saka magar jawab le gaya
mujhe pata tha rah mein charagh jal na paega
wahan gaya to apne sath mahtab le gaya
meri azal ki tishnagi bujha gaya wo narm-dil
nashat-e-ab de gaya gham-e-sarab le gaya
tha dekhne mein sada-ru magar baDa zahin tha
mujhe gunahgar kar ke wo sawab le gaya
nigah-e-imtiyaz ka shikar main hua 'imam'
yahan wo KHar de gaya wahan gulab le gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.