fusun-e-shab ki siyahi se haar jate hain
fusūn-e-shab kī siyāhī se haar jaate haiñ
ham ahl-e-girya ḳhamoshī se haar jaate haiñ
sajā ke chāroñ taraf dosto vo bazm-e-nashāt
sunā hai dil kī udāsī se haar jaate haiñ
diloñ meñ dard liye ahl-e-hijr nauhagar
rah-e-vafā meñ asīrī se haar jaate haiñ
qabīla yuuñ to lab-e-jū basā liyā lekin
ham ab bhī tishna-dahānī se haar jaate haiñ
ajiib hote haiñ ai shaḳhs dukh ke bāshinde
zarā se aañkh ke paanī se haar jaate haiñ
fusun-e-shab ki siyahi se haar jate hain
hum ahl-e-girya KHamoshi se haar jate hain
saja ke chaaron taraf dosto wo bazm-e-nashat
suna hai dil ki udasi se haar jate hain
dilon mein dard liye ahl-e-hijr nauhagar
rah-e-wafa mein asiri se haar jate hain
qabila yun to lab-e-ju basa liya lekin
hum ab bhi tishna-dahani se haar jate hain
ajib hote hain ai shaKHs dukh ke bashinde
zara se aankh ke pani se haar jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.