fusun-zada hain hawaen manzar tamam mashur chup paDe hain
fusun-zada hain hawaen manzar tamam mashur chup paDe hain
Bilqis Zafirul Hasan
MORE BYBilqis Zafirul Hasan
fusūñ-zada haiñ havā.eñ manzar tamām mas.hūr chup paḌe haiñ
siyāh nairañg nīm-shab kā sitāre jhuk jhuk ke dekhte haiñ
sahar kī lau meñ jalā rahī hai sabā kañval rañg-o-bū meñ tar haiñ
daraḳht saare sajā.e motī kī thāliyāñ saf-ba-saf khaḌe haiñ
hazār rāteñ guzar ga.iiñ ik hamāre hī ġham kī shab na guzrī
ujāle ḳhā.if siyah-kade se badal ke rasta nikal rahe haiñ
dhaḌakte dil jaisī sā.atoñ vaale roz-o-shab ab kahāñ se laa.eñ
gire hue ḳhushk mausamoñ meñ na jaane kab ke vo kho chuke haiñ
is ek hī zindagī meñ kitne janam liye baar baar ham ne
aur ab ye roz jaan de de ke kyuuñ jiye baiThe sochte haiñ
haqīqateñ yuuñ nahīñ badaltīñ ba-ḳhūbī ma.alūm hai hameñ bhī
farār hone ko ḳhud se kuchh ḳhvāb-zār phir bhī banā liye haiñ
ḳhud apnī ḳhvāhish pe jaan dene kā naam rakkhā hai ishq-o-ulfat
huā havas meñ ye ḳhud-farebī ke jaal kyā dil-nashīñ bune haiñ
fusun-zada hain hawaen manzar tamam mashur chup paDe hain
siyah nairang nim-shab ka sitare jhuk jhuk ke dekhte hain
sahar ki lau mein jala rahi hai saba kanwal rang-o-bu mein tar hain
daraKHt sare sajae moti ki thaaliyan saf-ba-saf khaDe hain
hazar raaten guzar gain ek hamare hi gham ki shab na guzri
ujale KHaif siyah-kade se badal ke rasta nikal rahe hain
dhaDakte dil jaisi saaton wale roz-o-shab ab kahan se laen
gire hue KHushk mausamon mein na jaane kab ke wo kho chuke hain
is ek hi zindagi mein kitne janam liye bar bar hum ne
aur ab ye roz jaan de de ke kyun jiye baiThe sochte hain
haqiqaten yun nahin badaltin ba-KHubi malum hai hamein bhi
farar hone ko KHud se kuchh KHwab-zar phir bhi bana liye hain
KHud apni KHwahish pe jaan dene ka nam rakkha hai ishq-o-ulfat
hua hawas mein ye KHud-farebi ke jal kya dil-nashin bune hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.