ghaalib ka rang mir ka lahja mujhe bhi de
'ġhālib' kā rañg 'mīr' kā lahja mujhe bhī de
lafzoñ se khelne kā salīqa mujhe bhī de
terī navāzisheñ haiñ har ik ḳhās-o-ām par
dariyā hai terā naam to qatra mujhe bhī de
sajdoñ ko mere phir tirī chaukhaT nasīb ho
manzil talak pahuñchne kā rasta mujhe bhī de
āḳhir mirī duā se asar kyoñ chalā gayā
merī bhī sun le ḳhushiyoñ kā tohfa mujhe bhī de
sab kī murādeñ aa.iiñ bharī sab kī jholiyāñ
dāman mirā hī ḳhālī hai maulā mujhe bhī de
'ghaalib' ka rang 'mir' ka lahja mujhe bhi de
lafzon se khelne ka saliqa mujhe bhi de
teri nawazishen hain har ek KHas-o-am par
dariya hai tera nam to qatra mujhe bhi de
sajdon ko mere phir teri chaukhaT nasib ho
manzil talak pahunchne ka rasta mujhe bhi de
aaKHir meri dua se asar kyon chala gaya
meri bhi sun le KHushiyon ka tohfa mujhe bhi de
sab ki muraden aain bhari sab ki jholiyan
daman mera hi KHali hai maula mujhe bhi de
- Book : مرا انتظار کرنا (Pg. 80)
- Author : ڈاکٹر نسیم نکہت
- Publication : بالمقابل ٹوریہ گنج اسپتال تلسی داس مارگ۔4 (2010)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.