ghaalib ke kabhi mir ke diwan se chehre
'ġhālib' ke kabhī 'mīr' ke dīvān se chehre
mushkil se samajh aate haiñ āsān se chehre
dil shahr-e-tamannā hai muhāfiz haiñ nigāheñ
rahte haiñ yahāñ be-sar-o-sāmān se chehre
parchhā.iyoñ kī qaid meñ dam toḌ rahe haiñ
sāhir kī kisī nazm ke 'unvān se chehre
hālāt se laḌne kā hunar siikh rahe haiñ
muskān lapeTe hue sunsān se chehre
har samt añdherā hai tamāshā-e-kuhan hai
māyūs haiñ insān se insān se chehre
kyoñ haath meñ arjun ke dhanush kaañp rahā hai
lashkar meñ haiñ dushman ke dil-o-jān se chehre
'ghaalib' ke kabhi 'mir' ke diwan se chehre
mushkil se samajh aate hain aasan se chehre
dil shahr-e-tamanna hai muhafiz hain nigahen
rahte hain yahan be-sar-o-saman se chehre
parchhaiyon ki qaid mein dam toD rahe hain
sahir ki kisi nazm ke 'unwan se chehre
haalat se laDne ka hunar sikh rahe hain
muskan lapeTe hue sunsan se chehre
har samt andhera hai tamasha-e-kuhan hai
mayus hain insan se insan se chehre
kyon hath mein arjun ke dhanush kanp raha hai
lashkar mein hain dushman ke dil-o-jaan se chehre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.