ghaalib ke shahr mir ki basti mein aa gae
ghaalib ke shahr mir ki basti mein aa gae
Rahi Hameedi Chand Puri
MORE BYRahi Hameedi Chand Puri
'ġhālib' ke shahr 'mīr' kī bastī meñ aa ga.e
ham log gaañv chhoḌ ke dillī meñ aa ga.e
jab tajrabāt dil kī ravānī meñ aa ga.e
alfāz sab hisār-e-ma.ānī meñ aa ga.e
ḳhush-fahm log Dūbne vāloñ meñ the shumār
vo bach ga.e jo nuuh kī kashtī meñ aa ga.e
kal tak thā jin ko apnī shahanshāhiyat kā zo'm
ai husn vo bhī terī ġhulāmī meñ aa ga.e
'ghaalib' ke shahr 'mir' ki basti mein aa gae
hum log ganw chhoD ke dilli mein aa gae
jab tajrabaat dil ki rawani mein aa gae
alfaz sab hisar-e-maani mein aa gae
KHush-fahm log Dubne walon mein the shumar
wo bach gae jo nuh ki kashti mein aa gae
kal tak tha jin ko apni shahanshahiyat ka zo'm
ai husn wo bhi teri ghulami mein aa gae
- Book : سائبان غزل (Pg. 26)
- Author : راہی حمیدی
- Publication : انجمن درس ادب،چاندپور (2011)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.