ganw aa kar jo apna ghar dekha
gaañv aa kar jo apnā ghar dekhā
dil ko āzurda kis qadar dekhā
ghar thā ḳhāmosh ūñghtī galiyāñ
ek sannāTā sar-basar dekhā
āshiyāñ thā jo ham parindoñ kā
tanhā tanhā sā vo shajar dekhā
kis ke shāne pe rakh ke sar rote
koī rishta na mo'atabar dekhā
khet khaliyān saath rone lage
rotā ham ko jo is qadar dekhā
aish-o-ishrat kī yaad aa.ī bahut
ham ne bachpan meñ jhāñk kar dekhā
yaad paapā kī ḳhuub aa.ī 'suhaib'
ham ne bachchoñ ko DaañT kar dekhā
ganw aa kar jo apna ghar dekha
dil ko aazurda kis qadar dekha
ghar tha KHamosh unghti galiyan
ek sannaTa sar-basar dekha
aashiyan tha jo hum parindon ka
tanha tanha sa wo shajar dekha
kis ke shane pe rakh ke sar rote
koi rishta na mo'atabar dekha
khet khaliyan sath rone lage
rota hum ko jo is qadar dekha
aish-o-ishrat ki yaad aai bahut
hum ne bachpan mein jhank kar dekha
yaad papa ki KHub aai 'suhaib'
hum ne bachchon ko DanT kar dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.