ghaar mein aa gae par pata hi na tha aur bhi log hain
ġhaar meñ aa ga.e par pata hī na thā aur bhī log haiñ
ham ne āvāz dī to ye ham par khulā aur bhī log haiñ
koī mānūs ḳhushbū samundar kī tah se batātī phire
kashtiyāñ khene vaale tumhāre sivā aur bhī log haiñ
apne hone na hone kī uljhan azal se hai ik mas.ala
ek tum hī nahīñ zindagī se ḳhafā aur bhī log haiñ
is mohabbat kī chorī ko āhista āhista khā aur pachā
ye tabarruk nigal tū nahīñ dostā aur bhī log haiñ
shahr-e-hijrāñ kī dīvār par the ye harf-e-tasallī likhe
ek ham hī nahīñ shahr meñ lā-davā aur bhī log haiñ
ghaar mein aa gae par pata hi na tha aur bhi log hain
hum ne aawaz di to ye hum par khula aur bhi log hain
koi manus KHushbu samundar ki tah se batati phire
kashtiyan khene wale tumhaare siwa aur bhi log hain
apne hone na hone ki uljhan azal se hai ek masala
ek tum hi nahin zindagi se KHafa aur bhi log hain
is mohabbat ki chori ko aahista aahista kha aur pacha
ye tabarruk nigal tu nahin dosta aur bhi log hain
shahr-e-hijran ki diwar par the ye harf-e-tasalli likhe
ek hum hi nahin shahr mein la-dawa aur bhi log hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.