ghaarat-garon ke pas hai kya apne pas kya
ġhārat-garoñ ke paas hai kyā apne paas kyā
Thānī hai sidq-e-dil se to ḳhauf-o-hirās kyā
lahja hī talḳh ho to zabāñ kī miThās kyā
āñkheñ barahna hoñ to badan par libās kyā
kāsoñ meñ le ke shaad haiñ jo zindagī kī bhiik
in dast-basta logoñ kā hosh-o-havās kyā
sabza nahīñ haiñ fahm-o-farāsat kī chādareñ
kal bhī yahī zamīn thī ugtī thī ghaas kyā
hāthoñ meñ haath diije duhā.ī na dījiye
tanzīm-e-amn se haiñ abhī nā-shanās kyā
shohrat nazar meñ ho to balāġhat se kyā ġharaz
sarqe kā ġham nahīñ to ġham-e-iltibās kyā
hai tāliyoñ kī guuñj meñ tauqīr-e-harf-e-ġham
irshād karne vaale kareñ iltimās kyā
ab to chaman meñ kāñToñ ko aa.e to aa.e rahm
barg-e-ḳhizāñ-rasīda ko phūloñ se aas kiyā
sahrā meñ bhī hai aap ke ruḳh par shaguftagī
haiñ yaad pokhare vo akūl-o-parās kyā
buzdil haiñ aap varna samundar khañgālte
motī bhī chal ke aatā hai sāhil ke paas kyā
dariyā se abr ban ke sab uḌ jaa.eñ nekiyāñ
hai 'sarfarāz' ye bhī qarīn-e-qayās kyā
ghaarat-garon ke pas hai kya apne pas kya
Thani hai sidq-e-dil se to KHauf-o-hiras kya
lahja hi talKH ho to zaban ki miThas kya
aankhen barahna hon to badan par libas kya
kason mein le ke shad hain jo zindagi ki bhik
in dast-basta logon ka hosh-o-hawas kya
sabza nahin hain fahm-o-farasat ki chadaren
kal bhi yahi zamin thi ugti thi ghas kya
hathon mein hath dije duhai na dijiye
tanzim-e-amn se hain abhi na-shanas kya
shohrat nazar mein ho to balaghat se kya gharaz
sarqe ka gham nahin to gham-e-iltibas kya
hai taliyon ki gunj mein tauqir-e-harf-e-gham
irshad karne wale karen iltimas kya
ab to chaman mein kanTon ko aae to aae rahm
barg-e-KHizan-rasida ko phulon se aas kiya
sahra mein bhi hai aap ke ruKH par shaguftagi
hain yaad pokhare wo akul-o-paras kya
buzdil hain aap warna samundar khangalte
moti bhi chal ke aata hai sahil ke pas kya
dariya se abr ban ke sab uD jaen nekiyan
hai 'sarfaraaz' ye bhi qarin-e-qayas kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.