ghaflaton ka samar uThata hun
ġhaflatoñ kā samar uThātā huuñ
roz taaza ḳhabar uThātā huuñ
baat baḌhtī hai tuul dene se
so ise muḳhtasar uThātā huuñ
ho ke bāshinda ik sitāre kā
uñgliyāñ chāñd par uThātā huuñ
chūmte haiñ jise uThā kar log
maiñ use chuum kar uThātā huuñ
ab kahāñ āsmān chhūne ko
zahmat-e-bāl-o-par uThātā huuñ
sū-e-manzil meñ har qadam apnā
ik falak chhoḌ kar uThātā huuñ
vaar kartī hai jab palaT kar mauj
ehtiyātan bhañvar uThātā huuñ
apnī maftūha sar-zamīnoñ par
paañv rakhtā huuñ sar uThātā huuñ
ghaflaton ka samar uThata hun
roz taza KHabar uThata hun
baat baDhti hai tul dene se
so ise muKHtasar uThata hun
ho ke bashinda ek sitare ka
ungliyan chand par uThata hun
chumte hain jise uTha kar log
main use chum kar uThata hun
ab kahan aasman chhune ko
zahmat-e-baal-o-par uThata hun
su-e-manzil mein har qadam apna
ek falak chhoD kar uThata hun
war karti hai jab palaT kar mauj
ehtiyatan bhanwar uThata hun
apni maftuha sar-zaminon par
panw rakhta hun sar uThata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.