gahra aur kushada hoga lekin aisa dekha hai
gahrā aur kushāda hogā lekin aisā dekhā hai
aage aage aa jaa.e jī jis ne dariyā dekhā hai
zaatī taur pe pastī aur qāmat donoñ kā shauq nahīñ
bas itnī ūñchī ho jā.ūñ jitnā ūñchā dekhā hai
us ke kaan surīle hoñge jis ne vo āvāz sunī
us kī āñkheñ mīThī hoñgī jis ne mīThā dekhā hai
koī us ko pyaas to koī saat samundar bolegā
vo utnī hī baat karegā jis ne jitnā dekhā hai
bas tum ne us shaḳhs ke baare ḳhud se aisā soch liyā
kapḌe maile hoñge par kirdār bhī melā dekhā hai
us ke pair paḌe to jaltī ret ko yak-dam baḳht lage
maiñ ne apnī āñkhoñ se sahrā meñ buuTā dekhā hai
kab tak saath rahegā mujh ko ye hargiz ma.alūm nahīñ
maiñ ne to us shaḳhs ke baare ḳhvāb bhī aadhā dekhā hai
gahra aur kushada hoga lekin aisa dekha hai
aage aage aa jae ji jis ne dariya dekha hai
zati taur pe pasti aur qamat donon ka shauq nahin
bas itni unchi ho jaun jitna uncha dekha hai
us ke kan surile honge jis ne wo aawaz suni
us ki aankhen miThi hongi jis ne miTha dekha hai
koi us ko pyas to koi sat samundar bolega
wo utni hi baat karega jis ne jitna dekha hai
bas tum ne us shaKHs ke bare KHud se aisa soch liya
kapDe maile honge par kirdar bhi mela dekha hai
us ke pair paDe to jalti ret ko yak-dam baKHt lage
main ne apni aankhon se sahra mein buTa dekha hai
kab tak sath rahega mujh ko ye hargiz malum nahin
main ne to us shaKHs ke bare KHwab bhi aadha dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.