gahraiyon se mujhko kisi ne nikal ke
gahrā.iyoñ se mujh ko kisī ne nikāl ke
pheñkā hai āsmān kī jānib uchhāl ke
maiñ ne zamīñ ko naap liyā āsmān tak
nazroñ meñ fāsle haiñ urūj-o-zavāl ke
chehre har ik se pūchh rahe haiñ koī javāb
sho.aloñ pe kuchh nishān lage haiñ savāl ke
log meñ ab vo charb-zabānī nahīñ rahī
yā hijr meñ udaas haiñ qisse visāl ke
har shaḳhs se milā huuñ baḌī ehtiyāt se
har shaḳhsiyyat ko maiñ ne paḌhā hai sambhāl ke
ab shā.irī se sirf hai lafzoñ kā vāsta
rishte tamām ho ga.e fikr-o-ḳhayāl ke
gahraiyon se mujh ko kisi ne nikal ke
phenka hai aasman ki jaanib uchhaal ke
main ne zamin ko nap liya aasman tak
nazron mein fasle hain uruj-o-zawal ke
chehre har ek se puchh rahe hain koi jawab
shoalon pe kuchh nishan lage hain sawal ke
log mein ab wo charb-zabani nahin rahi
ya hijr mein udas hain qisse visal ke
har shaKHs se mila hun baDi ehtiyat se
har shaKHsiyyat ko main ne paDha hai sambhaal ke
ab shairi se sirf hai lafzon ka wasta
rishte tamam ho gae fikr-o-KHayal ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.