gahre samundaron mein bil-aKHir utar gae
gahre samundaroñ meñ bil-āḳhir utar ga.e
ḳhush-fahmiyoñ kā zahr piyā aur mar ga.e
ham ahd-e-nau ke log bhī allāh kī panāh
kaasa uThā.e haath meñ apne hī ghar ga.e
kuchh log uḌ rahe the havāoñ ke dosh par
kyā jaane kis ḳhayāl se ham bhī udhar ga.e
kal raat pī-pilā ke baḌī mastiyāñ huiiñ
āḳhir ko thak-thakā ke phir apne hī ghar ga.e
kyā kyā na ban rahe the miyāñ hazrat-e-'nadīm'
sūraj ko chhūne nikle the saa.e se Dar ga.e
gahre samundaron mein bil-aKHir utar gae
KHush-fahmiyon ka zahr piya aur mar gae
hum ahd-e-nau ke log bhi allah ki panah
kasa uThae hath mein apne hi ghar gae
kuchh log uD rahe the hawaon ke dosh par
kya jaane kis KHayal se hum bhi udhar gae
kal raat pi-pila ke baDi mastiyan huin
aaKHir ko thak-thaka ke phir apne hi ghar gae
kya kya na ban rahe the miyan hazrat-e-'nadim'
suraj ko chhune nikle the sae se Dar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.