gahri nili sham ka manzar likhna hai
gahrī niilī shaam kā manzar likhnā hai
terī hī zulfoñ kā daftar likhnā hai
ka.ī dinoñ se baat nahīñ kī apnoñ se
aaj zarūrī ḳhat apne ghar likhnā hai
shiddat par hai hare-bhare pattoñ kī pyaas
sahrā sahrā ḳhuun samundar likhnā hai
patthar par ham naam kisī kā likkheñge
ā.īne par aazar aazar likhnā hai
chehra raushan khule hue sahrā kī dhuup
gahrī āñkheñ gahrā sāgar likhnā hai
is se aage kuchh likhne se qāsir huuñ
is ke aage tujh ko baḌh kar likhnā hai
gahri nili sham ka manzar likhna hai
teri hi zulfon ka daftar likhna hai
kai dinon se baat nahin ki apnon se
aaj zaruri KHat apne ghar likhna hai
shiddat par hai hare-bhare patton ki pyas
sahra sahra KHun samundar likhna hai
patthar par hum nam kisi ka likkhenge
aaine par aazar aazar likhna hai
chehra raushan khule hue sahra ki dhup
gahri aankhen gahra sagar likhna hai
is se aage kuchh likhne se qasir hun
is ke aage tujh ko baDh kar likhna hai
- Book : Lafz Lafz Noha (Pg. 31)
- Author : MOHD.FAROOQ NAZKI
- Publication : Tabish PublicationsM, Srinagar (1994)
- Edition : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.