ghair apne hain kab parae hain
ġhair apne haiñ kab parā.e haiñ
vaqt par mere kaam aa.e haiñ
rāh-e-hastī meñ mere gām-ba-gām
terī yādoñ ke kitne saa.e haiñ
ba.az auqāt ye huā mahsūs
jitne apne haiñ sab parā.e haiñ
ham ne bāñdhā tasavvur-e-manzil
jab qadam rah meñ Dagmagā.e haiñ
ek tūfān ashk-o-āh meñ bhī
ham ba-sad azm muskurā.e haiñ
uf vo mauj-e-havā-e-tūfānī
jis ne jalte diye bujhā.e haiñ
jis se ho indimāl-e-zaḳhm-e-hayāt
ham vo darmān le ke aa.e haiñ
aaj ke daur meñ siyāsat ne
kaise kaise ye gul khilā.e haiñ
ziist kī chilchilātī dhuup meñ bhī
terī zulfoñ ke ThanDe saa.e haiñ
un se pūchhe koī bahā-e-hayāt
daar ko chuum kar jo aa.e haiñ
vaqt ne jin kī yaad dafnā dī
mujh ko aksar vo yaad aa.e haiñ
aaj sarkār-e-husn meñ 'maġhmūm
ham bhī chand ashk le ke aa.e haiñ
ghair apne hain kab parae hain
waqt par mere kaam aae hain
rah-e-hasti mein mere gam-ba-gam
teri yaadon ke kitne sae hain
baz auqat ye hua mahsus
jitne apne hain sab parae hain
hum ne bandha tasawwur-e-manzil
jab qadam rah mein Dagmagae hain
ek tufan ashk-o-ah mein bhi
hum ba-sad azm muskurae hain
uf wo mauj-e-hawa-e-tufani
jis ne jalte diye bujhae hain
jis se ho indimal-e-zaKHm-e-hayat
hum wo darman le ke aae hain
aaj ke daur mein siyasat ne
kaise kaise ye gul khilae hain
zist ki chilchilati dhup mein bhi
teri zulfon ke ThanDe sae hain
un se puchhe koi baha-e-hayat
dar ko chum kar jo aae hain
waqt ne jin ki yaad dafna di
mujh ko aksar wo yaad aae hain
aaj sarkar-e-husn mein 'maghmum
hum bhi chand ashk le ke aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.