ghair dushman bhi wafadar samajhte hain mujhe
ġhair dushman bhī vafādār samajhte haiñ mujhe
ye mire apne to dīvār samajhte haiñ mujhe
merā kirdār havāoñ ne badal Daalā hai
maiñ huuñ mā'sūm gunahgār samajhte haiñ mujhe
jiit kar jang shahīdoñ meñ huā naam apnā
phir bhī kuchh log to ġhaddār samajhte haiñ mujhe
maiñ vo insāñ huuñ jo sajde meñ jhukātā huuñ sar
aur vo ḳhil'at kā talabgār samajhte haiñ mujhe
itnā bīmār huuñ maiñ soch nahīñ saktā huuñ
kitne nādāñ haiñ samajh-dār samajhte haiñ mujhe
bikne vaale kī ye bāzār kareñ tai qīmat
kyoñ jahāñ vaale ḳharīdār samajhte haiñ mujhe
in añdheroñ sā hī qaa.em hai bharam un kā bhī
ḳhud ke jaisā hī jo makkār samajhte haiñ mujhe
ab to taklīf hī mahsūs nahīñ hotī hai
is liye aap adākār samajhte haiñ mujhe
jab se badle haiñ ye hālāt ke manzar maiñ ne
tab se ahbāb asar-dār samajhte haiñ mujhe
ghair dushman bhi wafadar samajhte hain mujhe
ye mere apne to diwar samajhte hain mujhe
mera kirdar hawaon ne badal Dala hai
main hun ma'sum gunahgar samajhte hain mujhe
jit kar jang shahidon mein hua nam apna
phir bhi kuchh log to ghaddar samajhte hain mujhe
main wo insan hun jo sajde mein jhukata hun sar
aur wo KHil'at ka talabgar samajhte hain mujhe
itna bimar hun main soch nahin sakta hun
kitne nadan hain samajh-dar samajhte hain mujhe
bikne wale ki ye bazar karen tai qimat
kyon jahan wale KHaridar samajhte hain mujhe
in andheron sa hi qaem hai bharam un ka bhi
KHud ke jaisa hi jo makkar samajhte hain mujhe
ab to taklif hi mahsus nahin hoti hai
is liye aap adakar samajhte hain mujhe
jab se badle hain ye haalat ke manzar main ne
tab se ahbab asar-dar samajhte hain mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.