ghair ke ghar ban ke Dali jaegi
ġhair ke ghar ban ke Daalī jā.egī
kyūñ-kar un kī iid ḳhālī jā.egī
aap ne bāñdhī hai kyuuñ talvār aaj
kyā mirī hasrat nikālī jā.egī
phañs chukā dil ho chukī āshuftagī
ab tabī.at kyā sambhālī jā.egī
jaan kā denā mujhe manzūr hai
un kī farmā.ish na Taalī jā.egī
un pe zāhir ho na ai dil shauq-e-marg
teġh gardan se uThā lī jā.egī
dil ko vāpas tum se kyā māñgeñge ham
de chuke jo shai vo kyā lī jā.egī
kyuuñ na vo bechain ho.eñge 'nasīm'
sayyadoñ kī aah ḳhālī jā.egī
ghair ke ghar ban ke Dali jaegi
kyun-kar un ki id KHali jaegi
aap ne bandhi hai kyun talwar aaj
kya meri hasrat nikali jaegi
phans chuka dil ho chuki aashuftagi
ab tabiat kya sambhaali jaegi
jaan ka dena mujhe manzur hai
un ki farmaish na Tali jaegi
un pe zahir ho na ai dil shauq-e-marg
tegh gardan se uTha li jaegi
dil ko wapas tum se kya mangenge hum
de chuke jo shai wo kya li jaegi
kyun na wo bechain hoenge 'nasim'
sayyadon ki aah KHali jaegi
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 155)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.