ghair ko chumegi wo scene mein daKHil ho kar
ġhair ko chūmegī vo scene meñ dāḳhil ho kar
qatl kar Dālūñgā scrēn meñ dāḳhil ho kar
yaad rakh chāñd kabhī haath nahīñ aa.egā
in sitāroñ ke qavānīn meñ dāḳhil ho kar
ishq vo shar.a hai apnā.egā jo shaḳhs ise
diin se jā.egā is diin meñ dāḳhil ho kar
tum ne rūmān ke rangīn ma.ānī baḳhshe
mere sheroñ ke mazāmīn meñ dāḳhil ho kar
ik payāde ne baġhāvat kā alam lahrāyā
shaah ke ḳhaas arākīn meñ dāḳhil ho kar
ghair ko chumegi wo scene mein daKHil ho kar
qatl kar Dalunga screen mein daKHil ho kar
yaad rakh chand kabhi hath nahin aaega
in sitaron ke qawanin mein daKHil ho kar
ishq wo shara hai apnaega jo shaKHs ise
din se jaega is din mein daKHil ho kar
tum ne ruman ke rangin maani baKHshe
mere sheron ke mazamin mein daKHil ho kar
ek payaade ne baghawat ka alam lahraya
shah ke KHas arakin mein daKHil ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.