ghair mumkin to nahin sahab-e-irfan hona
ġhair mumkin to nahīñ sāhab-e-irfāñ honā
shart hai sang-e-malāmat pe bhī ḳhandāñ honā
chhoḌ kar lāla-o-gul ḳhār-ba-dāmāñ honā
aaj ke daur meñ dushvār hai insāñ honā
daur-e-hāzir pe ye ik tanz nahīñ phir kyā hai
koī insān nazar aa.e to hairāñ honā
ain-fitrat hai jinheñ ġham hī mile hoñ un ko
koī ummīd nazar aa.e to hairāñ honā
apne hālāt kī zanjīr bhī dekho logo
sab kī qismat meñ kahāñ nāzish-e-daurāñ honā
daur-e-jamhūr meñ bhī jurm hai hairat hai yahī
ek nādār ke dil meñ koī armāñ honā
had se ehsās ke baḌhne kā hai anjām 'rafī.a'
apnī hastī ke liye aap hī zindāñ honā
ghair mumkin to nahin sahab-e-irfan hona
shart hai sang-e-malamat pe bhi KHandan hona
chhoD kar lala-o-gul KHar-ba-daman hona
aaj ke daur mein dushwar hai insan hona
daur-e-hazir pe ye ek tanz nahin phir kya hai
koi insan nazar aae to hairan hona
ain-fitrat hai jinhen gham hi mile hon un ko
koi ummid nazar aae to hairan hona
apne haalat ki zanjir bhi dekho logo
sab ki qismat mein kahan nazish-e-dauran hona
daur-e-jamhur mein bhi jurm hai hairat hai yahi
ek nadar ke dil mein koi arman hona
had se ehsas ke baDhne ka hai anjam 'rafia'
apni hasti ke liye aap hi zindan hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.