ghair ne sar uTha ke dekh liya
ġhair ne sar uThā ke dekh liyā
juute do chaar khā ke dekh liyā
hai akhāḌe ke na.al se bhārī
us kā ġhamza uThā ke dekh liyā
paḌ ga.ī apne paañv meñ zanjīr
sar se sahrā bañdhā ke dekh liyā
saikḌoñ aaj paḌ ga.iiñ chapteñ
shaiḳh jī sur ghaTā ke dekh liyā
na huā raam vo but-e-kāfir
ham ne ghanTā bajā ke dekh liyā
vasl se mere sar hilāte haiñ
shaiḳh saddū manā ke dekh liyā
ġhash nahīñ ġhair ko ye mirgī hai
ham ne juutā suñghā ke dekh liyā
nafs-e-nāpāk be-hayā kutte
ham ne tujh ko hilā ke dekh liyā
lo nikalvā dī ġhair kī pathrī
zulf-e-mushkīñ suñghā ke dekh liyā
ghaT gayā ai 'ināyat' apnā zor
rabt un se baḌhā ke dekh liyā
ghair ne sar uTha ke dekh liya
jute do chaar kha ke dekh liya
hai akhaDe ke nal se bhaari
us ka ghamza uTha ke dekh liya
paD gai apne panw mein zanjir
sar se sahra bandha ke dekh liya
saikDon aaj paD gain chapten
shaiKH ji sur ghaTa ke dekh liya
na hua ram wo but-e-kafir
hum ne ghanTa baja ke dekh liya
wasl se mere sar hilate hain
shaiKH saddu mana ke dekh liya
ghash nahin ghair ko ye mirgi hai
hum ne juta sungha ke dekh liya
nafs-e-napak be-haya kutte
hum ne tujh ko hila ke dekh liya
lo nikalwa di ghair ki pathri
zulf-e-mushkin sungha ke dekh liya
ghaT gaya ai 'inayat' apna zor
rabt un se baDha ke dekh liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.