ghair par zulm mere hote ye kya hota hai
ġhair par zulm mire hote ye kyā hotā hai
dekhiye dekhiye par tiir ḳhatā hotā hai
dil kā ḳhuuñ tum ne kiyā ḳhuun kā paanī ġham ne
ab tap-e-ġham se vo paanī bhī havā hotā hai
Dūbne vaale pahuñch jā.eñge sāhil pe ḳhabar
dāman-e-maut pe sab haal likhā hotā hai
aap achchhe haiñ magar aap kā ye naaz burā
ek se ek zamāne meñ sivā hotā hai
paikar-e-zulm-o-jafā arsh na hil jaa.e kahīñ
dil dukhānā kisī bekas kā burā hotā hai
ishq ke dam se bagūloñ ko hai gardish 'iqbāl'
varna in ḳhaak ke zarrāt meñ kyā hotā hai
ghair par zulm mere hote ye kya hota hai
dekhiye dekhiye par tir KHata hota hai
dil ka KHun tum ne kiya KHun ka pani gham ne
ab tap-e-gham se wo pani bhi hawa hota hai
Dubne wale pahunch jaenge sahil pe KHabar
daman-e-maut pe sab haal likha hota hai
aap achchhe hain magar aap ka ye naz bura
ek se ek zamane mein siwa hota hai
paikar-e-zulm-o-jafa arsh na hil jae kahin
dil dukhana kisi bekas ka bura hota hai
ishq ke dam se bagulon ko hai gardish 'iqbaal'
warna in KHak ke zarraat mein kya hota hai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 540)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.