ghair se bad-guman ho jate
ġhair se bad-gumān ho jaate
merī sunte to kaan ho jaate
mehrbāñ āsmān ho jaate
aap agar mehrbān ho jaate
mere ghar mehmān ho jaate
dil meñ tum aa ke jaan ho jaate
jaate ham zaar us galī meñ agar
zarre bhī āsmān ho jaate
pīr-e-fānī ko vaqt-e-bāda-kashī
ham ne dekhā javān ho jaate
naam merā jo bazm meñ aatā
mere lākhoñ bayān ho jaate
dil to kahtā hai lutf-e-vasl ye thā
jān-e-man merī jaan ho jaate
kahte terī sī barg-e-gul bulbul
ye bhī terī zabān ho jaate
bose kyā le koī tasavvur meñ
ki haiñ ruḳh par nishān ho jaate
zulm dhāte jo aate turbat par
farsh-e-rah āsmān ho jaate
bādaloñ meñ jo mai bharī hotī
jhuk ke ūñchī dukān ho jaate
shaiḳh jī mai-kada vo jannat hai
tum bhī jā kar javān ho jaate
pāsbāñ to raqīb ban jaatā
ham tire pāsbān ho jaate
milte kam-umr mah-jabīñ jo 'riyāz'
ham abhī naujavān ho jaate
ghair se bad-guman ho jate
meri sunte to kan ho jate
mehrban aasman ho jate
aap agar mehrban ho jate
mere ghar mehman ho jate
dil mein tum aa ke jaan ho jate
jate hum zar us gali mein agar
zarre bhi aasman ho jate
pir-e-fani ko waqt-e-baada-kashi
hum ne dekha jawan ho jate
nam mera jo bazm mein aata
mere lakhon bayan ho jate
dil to kahta hai lutf-e-wasl ye tha
jaan-e-man meri jaan ho jate
kahte teri si barg-e-gul bulbul
ye bhi teri zaban ho jate
bose kya le koi tasawwur mein
ki hain ruKH par nishan ho jate
zulm dhate jo aate turbat par
farsh-e-rah aasman ho jate
baadalon mein jo mai bhari hoti
jhuk ke unchi dukan ho jate
shaiKH ji mai-kada wo jannat hai
tum bhi ja kar jawan ho jate
pasban to raqib ban jata
hum tere pasban ho jate
milte kam-umr mah-jabin jo 'riyaz'
hum abhi naujawan ho jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.