ghair se hi kyon gila-shikwa rahe
ġhair se hī kyoñ gila-shikva rahe
mushkiloñ meñ apnā kab apnā rahe
rūThne ke vaqt ye rakkho ḳhayāl
lauT kar aane kā kuchh rasta rahe
chāhe kuchh bhī ho ta.alluq arsh se
farsh se insān kā rishta rahe
har kisī ke dil meñ ho ye aarzū
dostoñ se qad mirā ūñchā rahe
jhūTā va.ada karne ko samjho gunāh
chāhe hālat kitnī bhī ḳhasta rahe
piirī meñ karne lage haiñ hujjateñ
umr bhar 'parvāz' be-parvā rahe
ghair se hi kyon gila-shikwa rahe
mushkilon mein apna kab apna rahe
ruThne ke waqt ye rakkho KHayal
lauT kar aane ka kuchh rasta rahe
chahe kuchh bhi ho talluq arsh se
farsh se insan ka rishta rahe
har kisi ke dil mein ho ye aarzu
doston se qad mera uncha rahe
jhuTa wada karne ko samjho gunah
chahe haalat kitni bhi KHasta rahe
piri mein karne lage hain hujjaten
umr bhar 'parwaz' be-parwa rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.