ghair se jam na saka rang-e-wafa mere baad
ġhair se jam na sakā rang-e-vafā mere baa'd
miT gayā sheva-e-taslīm-o-razā mere baa'd
us sitamgar ke uThe dast-e-duā mere baa'd
bekasī dekhtī hai shān-e-ḳhudā mere baa'd
ab to vo garmī-e-bāzār-e-hasīnāñ bhī nahīñ
kaisī tabdīl huī āb-o-havā mere baa'd
shukr hai mar ke maiñ ā.īn-e-vafā se chhūTā
rah sake vo bhī na pāband-e-jafā mere baa'd
sham.a ḳhāmosh rahī ruuh bhī dab kar niklī
koī hangāma-e-ālam na huā mere baa'd
husn aur ishq ke charchoñ meñ bhī kuchh lutf nahīñ
mil gayā ḳhaak meñ duniyā kā mazā mere baa'd
jaan dete hue is vāste Dartā huuñ 'shamīm'
khul na jaa.e kahīñ anjām-e-vafā mere baa'd
ghair se jam na saka rang-e-wafa mere ba'd
miT gaya shewa-e-taslim-o-raza mere ba'd
us sitamgar ke uThe dast-e-dua mere ba'd
bekasi dekhti hai shan-e-KHuda mere ba'd
ab to wo garmi-e-bazar-e-hasinan bhi nahin
kaisi tabdil hui aab-o-hawa mere ba'd
shukr hai mar ke main aain-e-wafa se chhuTa
rah sake wo bhi na paband-e-jafa mere ba'd
shama KHamosh rahi ruh bhi dab kar nikli
koi hangama-e-alam na hua mere ba'd
husn aur ishq ke charchon mein bhi kuchh lutf nahin
mil gaya KHak mein duniya ka maza mere ba'd
jaan dete hue is waste Darta hun 'shamim'
khul na jae kahin anjam-e-wafa mere ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.