ghair udhar lutf-o-karam se mahzuz
ġhair udhar lutf-o-karam se mahzūz
ham idhar zulm-o-sitam se mahzūz
hai ḳhushī par tirī mauqūf ḳhushī
kyoñ na huuñ ranj-o-alam se mahzūz
baiThne vaale tirī mahfil ke
hoñge kyā bāġh-e-iram se mahzūz
zindagī se mirī duniyā aajiz
ek aalam tire dam se mahzūz
āsmāñ par hai dimāġh-e-vā.iz
aaj aayā hai haram se mahzūz
nār-e-dozaḳh se bachā.eñge yahī
kyoñ na hoñ dīda-e-nam se mahzūz
kam haiñ allāh ke bande aise
jo na hoñ jāh-o-hasham se mahzūz
mujh ko ġham ain-e-ḳhushī ho jaa.e
aap hoñ to mire ġham se mahzūz
jaate haiñ ho ke adam ko ġhamgīñ
aate haiñ log adam se mahzūz
kabhī hañsnā kabhī ronā-dhonā
be-ḳhudī hī shab-e-ġham se mahzūz
ham to 'mas.ūd' rahe duniyā meñ
dair se shaad haram se mahzūz
ghair udhar lutf-o-karam se mahzuz
hum idhar zulm-o-sitam se mahzuz
hai KHushi par teri mauquf KHushi
kyon na hun ranj-o-alam se mahzuz
baiThne wale teri mahfil ke
honge kya bagh-e-iram se mahzuz
zindagi se meri duniya aajiz
ek aalam tere dam se mahzuz
aasman par hai dimagh-e-waiz
aaj aaya hai haram se mahzuz
nar-e-dozaKH se bachaenge yahi
kyon na hon dida-e-nam se mahzuz
kam hain allah ke bande aise
jo na hon jah-o-hasham se mahzuz
mujh ko gham ain-e-KHushi ho jae
aap hon to mere gham se mahzuz
jate hain ho ke adam ko ghamgin
aate hain log adam se mahzuz
kabhi hansna kabhi rona-dhona
be-KHudi hi shab-e-gham se mahzuz
hum to 'masud' rahe duniya mein
dair se shad haram se mahzuz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.