ghairat ki zanjir toD kar aaya hun
ġhairat kī zanjīr toḌ kar aaya huuñ
apnī hī tasvīr toḌ kar aaya huuñ
us kī tāqat us ke kaam nahīñ aa.ī
phūloñ se shamshīr toḌ kar aaya huuñ
us kī zulfoñ se maiñ bāhar nikal gayā
ḳhvāboñ kī ta.abīr toḌ kar aaya huuñ
us kī āñkheñ pyaar kī bastī lagtī haiñ
maiñ nafrat ke tiir toḌ kar aaya huuñ
jis ko allah rakkhe us ko kaun chakhe
dushman kī tadbīr toḌ kar aaya huuñ
roTī saare rishtoñ ko jhuTlātī hai
rishtoñ kī tāsīr toḌ kar aaya huuñ
'shād' kī bāteñ makkārī kā jaal koī
maiñ us kā shahtīr toḌ kar aaya huuñ
ghairat ki zanjir toD kar aaya hun
apni hi taswir toD kar aaya hun
us ki taqat us ke kaam nahin aai
phulon se shamshir toD kar aaya hun
us ki zulfon se main bahar nikal gaya
KHwabon ki tabir toD kar aaya hun
us ki aankhen pyar ki basti lagti hain
main nafrat ke tir toD kar aaya hun
jis ko allah rakkhe us ko kaun chakhe
dushman ki tadbir toD kar aaya hun
roTi sare rishton ko jhuTlati hai
rishton ki tasir toD kar aaya hun
'shad' ki baaten makkari ka jal koi
main us ka shahtir toD kar aaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.