ghairon ki anjuman mein mera hi tazkira ho ye baat to ghalat hai
ghairon ki anjuman mein mera hi tazkira ho ye baat to ghalat hai
Abdussalam Kausar
MORE BYAbdussalam Kausar
ġhairoñ kī anjuman meñ merā hī tazkira ho ye baat to ġhalat hai
jo kuchh sunā hai maiñ ne tum ne nahīñ sunā ho ye baat to ġhalat hai
sāzish kā silsila hai shaitān hañs rahā hai insān so rahā hai
jo aaj ho rahā hai kal bhī nahīñ huā ho ye baat to ġhalat hai
is daur kī siyāsat makkāriyoñ kā tūfāñ ḳhud-ġharziyoñ kī āñdhī
jo muntaḳhab huā hai vo shaḳhs pārsā ho ye baat to ġhalat hai
jamhūriyat ke mohre rahbar bane hue haiñ kam-zarf ḳhud-nigar haiñ
un se kabhī kisī kā koī bhalā huā ho ye baat to ġhalat hai
āñkhoñ meñ garm aañsū sīnoñ meñ sard aaheñ majbūr iltijā.eñ
duniyā kī gardishoñ se insān bach gayā ho ye baat to ġhalat hai
vo daur thā nirālā suqrāt ne piyā thā jab zahr kā piyāla
is daur meñ bhī munsif zālim kā ham-navā ho ye baat to ġhalat hai
merī ḳhushī se nā-ḳhush aur mujh se bad-gumāñ hai dushman nahīñ to kyā hai
merī tabāhiyoñ par vo ḳhush nahīñ huā ho ye baat to ġhalat hai
dil māntā nahīñ hai par aql ko yaqīñ hai haq baat bhī yahī hai
kahte haiñ jis ko insāñ mahrūmī-e-anā ho ye baat to ġhalat hai
nazroñ se duur ho kar kis haal meñ hai koī 'kausar' ye kaun jaane
lekin nazar ke aage ham-sāya jal rahā ho ye baat to ġhalat hai
ghairon ki anjuman mein mera hi tazkira ho ye baat to ghalat hai
jo kuchh suna hai main ne tum ne nahin suna ho ye baat to ghalat hai
sazish ka silsila hai shaitan hans raha hai insan so raha hai
jo aaj ho raha hai kal bhi nahin hua ho ye baat to ghalat hai
is daur ki siyasat makkariyon ka tufan KHud-gharziyon ki aandhi
jo muntaKHab hua hai wo shaKHs parsa ho ye baat to ghalat hai
jamhuriyat ke mohre rahbar bane hue hain kam-zarf KHud-nigar hain
un se kabhi kisi ka koi bhala hua ho ye baat to ghalat hai
aankhon mein garm aansu sinon mein sard aahen majbur iltijaen
duniya ki gardishon se insan bach gaya ho ye baat to ghalat hai
wo daur tha nirala suqraat ne piya tha jab zahr ka piyala
is daur mein bhi munsif zalim ka ham-nawa ho ye baat to ghalat hai
meri KHushi se na-KHush aur mujh se bad-guman hai dushman nahin to kya hai
meri tabahiyon par wo KHush nahin hua ho ye baat to ghalat hai
dil manta nahin hai par aql ko yaqin hai haq baat bhi yahi hai
kahte hain jis ko insan mahrumi-e-ana ho ye baat to ghalat hai
nazron se dur ho kar kis haal mein hai koi 'kausar' ye kaun jaane
lekin nazar ke aage ham-saya jal raha ho ye baat to ghalat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.