ghairon ki bastiyon mein rahne ko aa rahe hain
ġhairoñ kī bastiyoñ meñ rahne ko aa rahe haiñ
is dil ko chhoḌ kar ham duniyā banā rahe haiñ
sakhiyāñ saheliyāñ vo guzrā jahāñ laḌakpan
baiThe biThā.e ab kyoñ sab yaad aa rahe haiñ
rozī kī justujū meñ apnoñ ko chhoḌ chalnā
maazī ke saare manzar āñkhoñ pe chhā rahe haiñ
rokā thā sab ne ham ko lekin na ruk sake ham
ab ajnabī zamīñ ke dukh raas aa rahe haiñ
āñkhoñ pe chhā rahī hai barkhā ga.e dinoñ kī
guzre dinoñ ke qisse phir dil jalā rahe haiñ
miTTī kī soñdhī ḳhushbū phir yaad aa rahī hai
malhār vo rutoñ ke ḳhud ko sunā rahe haiñ
ḳhushiyoñ se ḳhud ko kitnī mahrūm kar liyā hai
pardes meñ 'ġhazal' kyoñ ham rañj uThā rahe haiñ
ghairon ki bastiyon mein rahne ko aa rahe hain
is dil ko chhoD kar hum duniya bana rahe hain
sakhiyan saheliyan wo guzra jahan laDakpan
baiThe biThae ab kyon sab yaad aa rahe hain
rozi ki justuju mein apnon ko chhoD chalna
mazi ke sare manzar aankhon pe chha rahe hain
roka tha sab ne hum ko lekin na ruk sake hum
ab ajnabi zamin ke dukh ras aa rahe hain
aankhon pe chha rahi hai barkha gae dinon ki
guzre dinon ke qisse phir dil jala rahe hain
miTTi ki sondhi KHushbu phir yaad aa rahi hai
malhaar wo ruton ke KHud ko suna rahe hain
KHushiyon se KHud ko kitni mahrum kar liya hai
pardes mein 'ghazal' kyon hum ranj uTha rahe hain
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 414)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.