ghairon se bhi dhoke khae hain apnon se bhi dhoke khae hain
ghairon se bhi dhoke khae hain apnon se bhi dhoke khae hain
Ameer Raza Mazhari
MORE BYAmeer Raza Mazhari
ġhairoñ se bhī dhoke khaa.e haiñ apnoñ se bhī dhoke khaa.e haiñ
tab jā ke kahīñ is duniyā ke andāz samajh meñ aa.e haiñ
vo apnī jafā-e-paiham par dam bhar bhī agar sharmā.e haiñ
ehsās-e-vafādārī ko mire pahroñ pachhtāve aa.e haiñ
ham meñ na mohabbat kī garmī ham meñ na sharāfat kī narmī
insān kaheñ kyoñ sab ham ko ham chalte phirte saa.e haiñ
kuchh phuul guloñ ke haar bane kuchh jins sar-e-bāzār bane
in phūloñ kī qismat kyā kahiye shāḳhoñ hī pe jo murjhā.e haiñ
sahrā-e-ḳhirad meñ hairāñ haiñ kal qāfila-hā-e-rāhravāñ
muñh moḌ liyā hai sūraj ne har samt añdhere chhā.e haiñ
ehsān ba-har-hālat ham par hai un kī badaltī nazroñ kā
jiine ke sahāre ulfat meñ kuchh kho.e haiñ kuchh paa.e haiñ
ummīd ne phir karvaT lī hai badle haiñ fazā ke phir tevar
ab dekhiye kyā barsāte haiñ kuchh bādal ghir kar aa.e haiñ
ham dost nahīñ dushman hī sahī bhaa.ī na sahī berī hī sahī
hamsā.e kā haq to do ham ko ham kuchh bhī na ho hamsā.e haiñ
vo qadr kareñ yā Thukrā deñ ye ahl-e-nazar kī marzī hai
ambār se ḳhār-o-ḳhas kī 'razā' kuchh motī chun kar laa.e haiñ
ghairon se bhi dhoke khae hain apnon se bhi dhoke khae hain
tab ja ke kahin is duniya ke andaz samajh mein aae hain
wo apni jafa-e-paiham par dam bhar bhi agar sharmae hain
ehsas-e-wafadari ko mere pahron pachhtawe aae hain
hum mein na mohabbat ki garmi hum mein na sharafat ki narmi
insan kahen kyon sab hum ko hum chalte phirte sae hain
kuchh phul gulon ke haar bane kuchh jins sar-e-bazar bane
in phulon ki qismat kya kahiye shaKHon hi pe jo murjhae hain
sahra-e-KHirad mein hairan hain kal qafila-ha-e-rahrawan
munh moD liya hai suraj ne har samt andhere chhae hain
ehsan ba-har-haalat hum par hai un ki badalti nazron ka
jine ke sahaare ulfat mein kuchh khoe hain kuchh pae hain
ummid ne phir karwaT li hai badle hain faza ke phir tewar
ab dekhiye kya barsate hain kuchh baadal ghir kar aae hain
hum dost nahin dushman hi sahi bhai na sahi beri hi sahi
hamsae ka haq to do hum ko hum kuchh bhi na ho hamsae hain
wo qadr karen ya Thukra den ye ahl-e-nazar ki marzi hai
ambar se KHar-o-KHas ki 'raza' kuchh moti chun kar lae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.