gajron kaliyon ke mausam mein yaad koi jab aata hai
gajroñ kaliyoñ ke mausam meñ yaad koī jab aatā hai
ik an-dekhā ḳhushbū vaalā haath mujhe chhū jaatā hai
hiddat kaun milā detā hai sard ThiThurte jazboñ meñ
sochoñ par jo barf jamī hai kaun use pighlātā hai
jaane kitne manzar haiñ jo an-dekhe rah jaate haiñ
ik aisā bhī manzar hai jo āñkhoñ meñ rah jaatā hai
kirchī kirchī ḳhvāb hue to āñkheñ ḳhuuñ meñ Duub ga.iiñ
niiñd kī khiḌkī toḌ ke koī saarī raat jagātā hai
mere suune āñgan meñ 'sajjād' mirī parchhā.īñ hai
kis kī bholī soch kā paañv aise meñ dar aatā hai
gajron kaliyon ke mausam mein yaad koi jab aata hai
ek an-dekha KHushbu wala hath mujhe chhu jata hai
hiddat kaun mila deta hai sard ThiThurte jazbon mein
sochon par jo barf jami hai kaun use pighlata hai
jaane kitne manzar hain jo an-dekhe rah jate hain
ek aisa bhi manzar hai jo aankhon mein rah jata hai
kirchi kirchi KHwab hue to aankhen KHun mein Dub gain
nind ki khiDki toD ke koi sari raat jagata hai
mere sune aangan mein 'sajjad' meri parchhain hai
kis ki bholi soch ka panw aise mein dar aata hai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 564)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.