ghalat-bayani pe uski yaqin dikhati rahi
ġhalat-bayānī pe us kī yaqīñ dikhātī rahī
maiñ sab samajhtī rahī aur muskurātī rahī
ye soch kar ki taġhāful to us kī fitrat hai
maiñ apne dil ko baḌī der tak manātī rahī
use to lauT ke aanā hī thā vo lauT aayā
magar vo aayā to hāthoñ se umr jaatī rahī
ajab rivāyatī aurat hai zindagī merī
hamesha hasb-e-zarūrat hī chāhī jaatī rahī
use chaman kī bahār-o-ḳhizāñ se kyā matlab
vo ek bholī sī chiḌiyā thī chahchahātī rahī
vo din ki bojh kaḌī dhuup meñ uThātā rahā
maiñ ratjagoñ kī thakan oḌhtī bichhātī rahī
nazar meñ rahnā thā 'nusrat' to us kī palkoñ se
tamām umr maiñ gard-e-safar haTātī rahī
ghalat-bayani pe us ki yaqin dikhati rahi
main sab samajhti rahi aur muskuraati rahi
ye soch kar ki taghaful to us ki fitrat hai
main apne dil ko baDi der tak manati rahi
use to lauT ke aana hi tha wo lauT aaya
magar wo aaya to hathon se umr jati rahi
ajab riwayati aurat hai zindagi meri
hamesha hasb-e-zarurat hi chahi jati rahi
use chaman ki bahaar-o-KHizan se kya matlab
wo ek bholi si chiDiya thi chahchahati rahi
wo din ki bojh kaDi dhup mein uThata raha
main ratjagon ki thakan oDhti bichhati rahi
nazar mein rahna tha 'nusrat' to us ki palkon se
tamam umr main gard-e-safar haTati rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.