ghalat kahte ho masjid mein nahin deta azan koi
ġhalat kahte ho masjid meñ nahīñ detā azaañ koī
bulātā hai mujhe ye us ke dar kā pāsbāñ koī
asar kyūñkar ho ai vaa.iz mujhe terī nasīhat kā
na maiñ koī musalmāñ huuñ na tū pīr-e-muġhāñ koī
bharī hai niiñd āñkhoñ meñ abas bāteñ banāte ho
bhalā letā hai bin jaage bhī yuuñ añgḌā.iyāñ koī
suḳhan-fahmo ġhanīmat hai vafāt-e-'ranj' ke pīchhe
sunoge phir na aisā shā.ir-e-jādū-bayāñ koī
ghalat kahte ho masjid mein nahin deta azan koi
bulata hai mujhe ye us ke dar ka pasban koi
asar kyunkar ho ai waiz mujhe teri nasihat ka
na main koi musalman hun na tu pir-e-mughan koi
bhari hai nind aankhon mein abas baaten banate ho
bhala leta hai bin jage bhi yun angDaiyan koi
suKHan-fahmo ghanimat hai wafat-e-'ranj' ke pichhe
sunoge phir na aisa shair-e-jadu-bayan koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.