ghalat ki meri nigahon ko parsa kahiye
ġhalat ki merī nigāhoñ ko pārsā kahiye
ye ro'b-e-husn se uThtī nahīñ haiñ kyā kahiye
idhar ye haal ki dil sarkashī pe āmāda
udhar ishāra-e-abrū ki sab bajā kahiye
unheñ ye shauq suneñ aur ġhair ban ke suneñ
hameñ ye zid ki kisī ajnabī se kyā kahiye
ye kyā ki sach bhī kahūñ maiñ to kizb hī Thahre
ġhalat kahe jo agar ġhair marhabā kahiye
guzārishoñ ko mirī shoḳhiyāñ na Thahrā.eñ
sazā ko aap na is tarh nā-sazā kahiye
junūñ-navāzoñ kī rūdād-e-ḳhūñ-chakāñ likhiye
hikāyat-e-ravish-e-manzil-āshnā kahiye
jahān-bhar se 'tapish' dostī nahīñ achchhī
agar ye raas bhī aa.e to mo'jiza kahiye
ghalat ki meri nigahon ko parsa kahiye
ye ro'b-e-husn se uThti nahin hain kya kahiye
idhar ye haal ki dil sarkashi pe aamada
udhar ishaara-e-abru ki sab baja kahiye
unhen ye shauq sunen aur ghair ban ke sunen
hamein ye zid ki kisi ajnabi se kya kahiye
ye kya ki sach bhi kahun main to kizb hi Thahre
ghalat kahe jo agar ghair marhaba kahiye
guzarishon ko meri shoKHiyan na Thahraen
saza ko aap na is tarh na-saza kahiye
junun-nawazon ki rudad-e-KHun-chakan likhiye
hikayat-e-rawish-e-manzil-ashna kahiye
jahan-bhar se 'tapish' dosti nahin achchhi
agar ye ras bhi aae to mo'jiza kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.