ghalat kya hai sabhi hum ko agar nakaam kahte hain
ġhalat kyā hai sabhī ham ko agar nākām kahte haiñ
samajh paa.e use kab ham jise ilhām kahte haiñ
liye bāzār meñ hastī khaḌe haiñ aaj apnī ham
lagā lo jitnā dil chāhe hamārā daam kahte haiñ
agar parcham uThāoge baġhāvat kā to tai maano
nazārā jo dikhegā us ko qatl-e-'ām kahte haiñ
gunāhoñ meñ rahe hoñ ham bhī shāmil kyā zarūrī hai
magar munsif hamārā hī likhegā naam kahte haiñ
hamesha hī bulandī par nahīñ rahtā koī Tik kar
Dhalegī dopahar bhī aur hogī shaam kahte haiñ
dupaTTa rām-nāmī oḌhne se kuchh nahīñ hogā
agar shabrī banoge to mileñge raam kahte haiñ
'nazar' aadhe adhūre man se kuchh hāsil nahīñ hotā
ġhalat āġhāz ko bhī ham ġhalat anjām kahte haiñ
ghalat kya hai sabhi hum ko agar nakaam kahte hain
samajh pae use kab hum jise ilham kahte hain
liye bazar mein hasti khaDe hain aaj apni hum
laga lo jitna dil chahe hamara dam kahte hain
agar parcham uThaoge baghawat ka to tai mano
nazara jo dikhega us ko qatl-e-'am kahte hain
gunahon mein rahe hon hum bhi shamil kya zaruri hai
magar munsif hamara hi likhega nam kahte hain
hamesha hi bulandi par nahin rahta koi Tik kar
Dhalegi dopahar bhi aur hogi sham kahte hain
dupaTTa ram-nami oDhne se kuchh nahin hoga
agar shabri banoge to milenge ram kahte hain
'nazar' aadhe adhure man se kuchh hasil nahin hota
ghalat aaghaz ko bhi hum ghalat anjam kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.