ghalat sab dalilen ghalat sab hawale
ġhalat sab dalīleñ ġhalat sab havāle
añdhere añdhere ujāle ujāle
mire haal par phabtiyāñ kasne vaale
mabādā tujhe phūñk deñ mere naale
hameñ jān-o-dil se vo apnā banā le
magar ham kahāñ aisī taqdīr vaale
mujhe va.az par va.az farmāne vaale
agar koī terī bhī nīñdeñ churā le
hazāroñ the duniyā meñ iḳhlās vaale
magar gardish-e-vaqt ne piis Daale
rahe zindagī meñ bajā sa.ī-e-paiham
muqaddar kā likkhā magar kaun Taale
mohabbat pe terā ye ehsān hogā
mohabbat meñ jī se guzar jaane vaale
idhar to hai mahkī fazā-e-mohabbat
udhar zehn par chand yādoñ ke jaale
haqīqat hamesha haqīqat rahegī
haqīqat pe parde koī laakh Daale
mohabbat kī nairañgiyāñ tauba tauba
kahīñ rāteñ raushan kahīñ din bhī kaale
koī dam ke mehmāñ haiñ ai zindagī ham
jahāñ tak tujhe raas aanā hai aa le
agar merī hastī khaTaktī hai tujh ko
to le Duub jaatā huuñ ai nāḳhudā le
kisī jān-e-jāñ kī amānat haiñ 'āsī'
ye ashkoñ ke tūfāñ ye aaheñ ye naale
ghalat sab dalilen ghalat sab hawale
andhere andhere ujale ujale
mere haal par phabtiyan kasne wale
mabaada tujhe phunk den mere nale
hamein jaan-o-dil se wo apna bana le
magar hum kahan aisi taqdir wale
mujhe waz par waz farmane wale
agar koi teri bhi ninden chura le
hazaron the duniya mein iKHlas wale
magar gardish-e-waqt ne pis Dale
rahe zindagi mein baja sai-e-paiham
muqaddar ka likkha magar kaun Tale
mohabbat pe tera ye ehsan hoga
mohabbat mein ji se guzar jaane wale
idhar to hai mahki faza-e-mohabbat
udhar zehn par chand yaadon ke jale
haqiqat hamesha haqiqat rahegi
haqiqat pe parde koi lakh Dale
mohabbat ki nairangiyan tauba tauba
kahin raaten raushan kahin din bhi kale
koi dam ke mehman hain ai zindagi hum
jahan tak tujhe ras aana hai aa le
agar meri hasti khaTakti hai tujh ko
to le Dub jata hun ai naKHuda le
kisi jaan-e-jaan ki amanat hain 'asi'
ye ashkon ke tufan ye aahen ye nale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.