ghalat-salat tha wo jis ko durust man liya
ġhalat-salat thā vo jis ko durust maan liyā
ḳhud apne zabt kā ham ne bhī imtihān liyā
maiñ kyā karūñgā zamāne ko jaan kar āḳhir
yahī bahut hai zamāne ne mujh ko jaan liyā
hamāre hote hue tang paḌ na jaa.e kahīñ
bachī-khuchī sī mohabbat ko khīñch taan liyā
kahīñ vo vasl kā chashma dikhā.ī de na sakā
tumhāre hijr kā sahrā tamām chhān liyā
shikast mānñā āsān to nahīñ phir bhī
kahā charāġh kā ik din havā ne maan liyā
mirī nigāhoñ meñ tasvīr mere qātil kī
vahī thā jis ne mirā āḳhirī bayān liyā
kisī ne kab hai zamīñ par hamārā saath diyā
safar meñ saath liyā bhī to āsmān liyā
milā hai sabr kā ye phal khaḌe khaḌe āḳhir
mujhe daraḳhtoñ ne dil se daraḳht maan liyā
tirī safā.ī meñ ye dil akelā kyā kartā
tumhārā naam vahāñ sab ne yak-zabān liyā
ghalat-salat tha wo jis ko durust man liya
KHud apne zabt ka hum ne bhi imtihan liya
main kya karunga zamane ko jaan kar aaKHir
yahi bahut hai zamane ne mujh ko jaan liya
hamare hote hue tang paD na jae kahin
bachi-khuchi si mohabbat ko khinch tan liya
kahin wo wasl ka chashma dikhai de na saka
tumhaare hijr ka sahra tamam chhan liya
shikast manna aasan to nahin phir bhi
kaha charagh ka ek din hawa ne man liya
meri nigahon mein taswir mere qatil ki
wahi tha jis ne mera aaKHiri bayan liya
kisi ne kab hai zamin par hamara sath diya
safar mein sath liya bhi to aasman liya
mila hai sabr ka ye phal khaDe khaDe aaKHir
mujhe daraKHton ne dil se daraKHt man liya
teri safai mein ye dil akela kya karta
tumhaara nam wahan sab ne yak-zaban liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.