ghalat the wade magar main yaqin rakhta tha
ġhalat the va.ade magar maiñ yaqīn rakhtā thā
vo shaḳhs lahja baḌā dil-nashīn rakhtā thā
hai taar taar mire e'timād kā dāman
kise batā.ūñ ki maiñ bhī amiin rakhtā thā
utar gayā hai ragoñ meñ mire lahū ban kar
vo zahr zā.iqa-e-angbīn rakhtā thā
guzarne vaale na yuuñ sarsarī guzar dil se
makāñ shikasta sahī par makīn rakhtā thā
vo jauharī na rahā ab use kahāñ DhūñDeñ
jo lafz lafz meñ durr-e-samīn rakhtā thā
vo aql-e-kul thā bhalā kis kī māntā 'mohsin'
ḳhayāl-e-ḳhām pe puḳhta yaqīn rakhtā thā
ghalat the wade magar main yaqin rakhta tha
wo shaKHs lahja baDa dil-nashin rakhta tha
hai tar tar mere e'timad ka daman
kise bataun ki main bhi amin rakhta tha
utar gaya hai ragon mein mere lahu ban kar
wo zahr zaiqa-e-angbin rakhta tha
guzarne wale na yun sarsari guzar dil se
makan shikasta sahi par makin rakhta tha
wo jauhari na raha ab use kahan DhunDen
jo lafz lafz mein durr-e-samin rakhta tha
wo aql-e-kul tha bhala kis ki manta 'mohsin'
KHayal-e-KHam pe puKHta yaqin rakhta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.