gale mein tar-e-gareban hain haar ki surat
gale meñ tār-e-garebāñ haiñ haar kī sūrat
banā huā huuñ sarāpā bahār kī sūrat
azal se ai dil-e-betāb tere sadqe meñ
nazar na aaj tak aa.ī qarār kī sūrat
tum apne tiir ko rahne do mere siine meñ
ki ik shahīd kī hai yādgār kī sūrat
lagā hai mar ke mujhe daaġh bevafā.ī kā
milī hai ḳhaak meñ kyā e.atibār kī sūrat
vo chupke rote haiñ aa aa ke raat ko aksar
mire mazār pe sham-e-mazār kī sūrat
ye iztirāb ki har zarra ḳhaak kā apnī
taḌap rahā hai dil-e-be-qarār kī sūrat
ma.āl-e-hastī-e-bātil kī khiñch ga.ī tasvīr
jo dekhī ek shikasta mazār kī sūrat
hujūm-e-yās ne kyā sard kar diyā dil ko
bujhā huā hai charāġh-e-mazār kī sūrat
faroġh-e-bazm-e-mohabbat hai ik tire dam se
kahāñ chalā dil-e-'muztar' qarār kī sūrat
gale mein tar-e-gareban hain haar ki surat
bana hua hun sarapa bahaar ki surat
azal se ai dil-e-betab tere sadqe mein
nazar na aaj tak aai qarar ki surat
tum apne tir ko rahne do mere sine mein
ki ek shahid ki hai yaadgar ki surat
laga hai mar ke mujhe dagh bewafai ka
mili hai KHak mein kya eatibar ki surat
wo chupke rote hain aa aa ke raat ko aksar
mere mazar pe sham-e-mazar ki surat
ye iztirab ki har zarra KHak ka apni
taDap raha hai dil-e-be-qarar ki surat
maal-e-hasti-e-baatil ki khinch gai taswir
jo dekhi ek shikasta mazar ki surat
hujum-e-yas ne kya sard kar diya dil ko
bujha hua hai charagh-e-mazar ki surat
farogh-e-bazm-e-mohabbat hai ek tere dam se
kahan chala dil-e-'muztar' qarar ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.