gale milte hue wapas palaT jaega sahib
gale milte hue vāpas palaT jā.egā sāhib
ġhubāra dhuup meñ jaate hī phaT jā.egā sāhib
hamāre dil pe jitne log qābiz ho rahe haiñ
ye patthar to ka.ī TukḌoñ meñ baT jā.egā sāhib
musībat meñ sahāre kī talab kis ko nahīñ hai
añdherā raushnī se ḳhud lipaT jā.egā sāhib
diloñ meñ rahne vaale kal laboñ par aa raheñge
badan kā ḳhuun āñkhoñ meñ simaT jā.egā sāhib
hamāre shar se koī chiiz kaise bach sakegī
mujhe lagtā hai ye jangal bhī kaT jā.egā sāhib
ḳhudā aur aadmī meñ pādrī kī jā nahīñ hai
ufuq se ek din ye abr chhaT jā.egā sāhib
mohabbat meñ anāḌī-pan bahut nuqsān-deh hai
ye jhūlā pahle chakkar meñ ulaT jā.egā sāhib
agar kuchh pūchhnā hai apne sahrāoñ se pūchheñ
samundar aap ke raste se haT jā.egā sāhib
gale milte hue wapas palaT jaega sahib
ghubara dhup mein jate hi phaT jaega sahib
hamare dil pe jitne log qabiz ho rahe hain
ye patthar to kai TukDon mein baT jaega sahib
musibat mein sahaare ki talab kis ko nahin hai
andhera raushni se KHud lipaT jaega sahib
dilon mein rahne wale kal labon par aa rahenge
badan ka KHun aankhon mein simaT jaega sahib
hamare shar se koi chiz kaise bach sakegi
mujhe lagta hai ye jangal bhi kaT jaega sahib
KHuda aur aadmi mein padri ki ja nahin hai
ufuq se ek din ye abr chhaT jaega sahib
mohabbat mein anaDi-pan bahut nuqsan-deh hai
ye jhula pahle chakkar mein ulaT jaega sahib
agar kuchh puchhna hai apne sahraon se puchhen
samundar aap ke raste se haT jaega sahib
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.