gali-kuchon ka zehn-o-dil mein ek naqsha bana rakhna
galī-kūchoñ kā zehn-o-dil meñ ik naqsha banā rakhnā
zabānī yaad apne yaar ke dar kā pata rakhnā
maraz kāfūr hogā bas hamāre paas baiTho tum
ki chārāgar ne bolā hai qarīb apne davā rakhnā
koī mafhūm le kar bāñdh lo tum she'r meñ apne
bahut mushkil nahīñ hai qāfiye kā qāfiya rakhnā
tumheñ jis se mohabbat hai use dil meñ basā lo tum
magar merī mohabbat ke liye thoḌī jagah rakhnā
kisī bhī haal meñ phir sabr kā dāman na chhūTegā
basā kar dosto siine meñ jang-e-karbalā rakhnā
samajh jāoge tum bhī zindagī kī kyā haqīqat hai
nadī kī dhaar par kuchh der bas kachchā ghaḌā rakhnā
jo paanā chāhte ho 'ishq kī manzil miyāñ 'ilyās'
mirī maano purāne 'āshiqoñ se rābta rakhnā
gali-kuchon ka zehn-o-dil mein ek naqsha bana rakhna
zabani yaad apne yar ke dar ka pata rakhna
maraz kafur hoga bas hamare pas baiTho tum
ki chaaragar ne bola hai qarib apne dawa rakhna
koi mafhum le kar bandh lo tum she'r mein apne
bahut mushkil nahin hai qafiye ka qafiya rakhna
tumhein jis se mohabbat hai use dil mein basa lo tum
magar meri mohabbat ke liye thoDi jagah rakhna
kisi bhi haal mein phir sabr ka daman na chhuTega
basa kar dosto sine mein jang-e-karbala rakhna
samajh jaoge tum bhi zindagi ki kya haqiqat hai
nadi ki dhaar par kuchh der bas kachcha ghaDa rakhna
jo pana chahte ho 'ishq ki manzil miyan 'ilyas'
meri mano purane 'ashiqon se rabta rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.