gali mein husn ki jo naqsh-e-pa chamakta hai
galī meñ husn kī jo naqsh-e-pā chamaktā hai
hamāre ishq hī kā martaba chamaktā hai
isī liye to mujhe niiñd hī nahīñ aatī
tamām raat koī ḳhat khulā chamaktā hai
hazāroñ shaah jo jhukte haiñ sāmne us ke
kisī faqīr kī jholī meñ kyā chamaktā hai
ka.ī dinoñ se ye aalam hai dard kā dil meñ
kisī mazār pe jaise diyā chamaktā hai
maiñ aañkh muuñd ke hī us ko yaad kartā huuñ
mujhe pata hai ki merā ḳhudā chamaktā hai
kabhī jo ḳhvāb meñ aatī hai us kī parchhā.ī
hamārī aañkh meñ ik aa.ina chamaktā hai
usī kā qāfila paatā hai manziloñ kā pata
ġhubār-e-rāh meñ jo rahnumā chamaktā hai
tamām sadiyoñ ne sīñchā hai apne ashkoñ se
usī ke nuur se dāman mirā chamaktā hai
kashish ye kaisī hai lafzoñ meñ kis kā jalva hai
'nadīm' aap kī ġhazloñ meñ kyā chamaktā hai
gali mein husn ki jo naqsh-e-pa chamakta hai
hamare ishq hi ka martaba chamakta hai
isi liye to mujhe nind hi nahin aati
tamam raat koi KHat khula chamakta hai
hazaron shah jo jhukte hain samne us ke
kisi faqir ki jholi mein kya chamakta hai
kai dinon se ye aalam hai dard ka dil mein
kisi mazar pe jaise diya chamakta hai
main aankh mund ke hi us ko yaad karta hun
mujhe pata hai ki mera KHuda chamakta hai
kabhi jo KHwab mein aati hai us ki parchhai
hamari aankh mein ek aaina chamakta hai
usi ka qafila pata hai manzilon ka pata
ghubar-e-rah mein jo rahnuma chamakta hai
tamam sadiyon ne sincha hai apne ashkon se
usi ke nur se daman mera chamakta hai
kashish ye kaisi hai lafzon mein kis ka jalwa hai
'nadim' aap ki ghazlon mein kya chamakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.