gali mein ishq ki chala to husn ka fusun chala
galī meñ ishq kī chalā to husn kā fusūñ chalā
fareb khā ke aadmī vahāñ se sar-nigūñ chalā
rahā vo saath jab talak mahak rahī thī rahguzar
hamāre saath saath jaise lashkar-e-sukūñ chalā
nibhā sakī na saath āshiqoñ kā kā.enāt bhī
qadam qadam milā ke sirf jazba-e-junūñ chalā
taḌap uThī hai tishnagī laboñ pe mere is qadar
na aa.e jaam mujh talak ye daur meñ na yuuñ chalā
mujhe huā yaqīn apne ishq ke shabāb par
jab āñsuoñ ke rāstoñ pe mere dil kā ḳhuuñ chalā
nigāh-e-nāz se nigāh milne kī umiid thī
tamām umr chashm-e-tar meñ ḳhvāb gūnā-gūñ chalā
paroñ se us ke kaT ga.e bulandiyoñ ke āsmāñ
uḌaan bhar ke jab havāoñ par dil-e-zabūñ chalā
guzar ga.ī sadī ye fikr-e-tīr-e-chashm-e-nāz meñ
tamām jism chhoḌ kar ye sirf dil pe kyuuñ chalā
hazāroñ āñdhiyāñ simaT ke paañv se lipaT ga.iiñ
uThā to phir 'nadīm' ishq kī hadoñ se yuuñ chalā
gali mein ishq ki chala to husn ka fusun chala
fareb kha ke aadmi wahan se sar-nigun chala
raha wo sath jab talak mahak rahi thi rahguzar
hamare sath sath jaise lashkar-e-sukun chala
nibha saki na sath aashiqon ka kaenat bhi
qadam qadam mila ke sirf jazba-e-junun chala
taDap uThi hai tishnagi labon pe mere is qadar
na aae jam mujh talak ye daur mein na yun chala
mujhe hua yaqin apne ishq ke shabab par
jab aansuon ke raston pe mere dil ka KHun chala
nigah-e-naz se nigah milne ki umid thi
tamam umr chashm-e-tar mein KHwab guna-gun chala
paron se us ke kaT gae bulandiyon ke aasman
uDan bhar ke jab hawaon par dil-e-zabun chala
guzar gai sadi ye fikr-e-tir-e-chashm-e-naz mein
tamam jism chhoD kar ye sirf dil pe kyun chala
hazaron aandhiyan simaT ke panw se lipaT gain
uTha to phir 'nadim' ishq ki hadon se yun chala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.