gali se teri jo Tuk ho ke aadmi nikle
galī se terī jo Tuk ho ke aadmī nikle
to us ke saaya se jhaT ban ke ik parī nikle
ḳhayāl meñ tire chehre kī mar gayā ho jo shaḳhs
to us kī ḳhaak se sone kī aarsī nikle
ba.iid shaan se āshiq ke aah bharnī thī
valī vo kyā kare jab us kī jaan hī nikle
kisī ke hosh ko kah do agar chalā chāhe
to apne ghar se kamar bāñdh kar abhī nikle
nishān-e-āh liye chhāñv chhāñv tāroñ ke
chalegī fauj-e-sarishk aaj chāñdnī nikle
kajī tabī.at-e-kaj-fahm se ho tab munfak
kisī davā se dum-e-sag ke gar kajī nikle
hazār shukr ki 'inshā' kisī kī mahfil meñ
ḳhafā se aa.e the par ho hañsī-ḳhushī nikle
gali se teri jo Tuk ho ke aadmi nikle
to us ke saya se jhaT ban ke ek pari nikle
KHayal mein tere chehre ki mar gaya ho jo shaKHs
to us ki KHak se sone ki aarsi nikle
baid shan se aashiq ke aah bharni thi
wali wo kya kare jab us ki jaan hi nikle
kisi ke hosh ko kah do agar chala chahe
to apne ghar se kamar bandh kar abhi nikle
nishan-e-ah liye chhanw chhanw taron ke
chalegi fauj-e-sarishk aaj chandni nikle
kaji tabiat-e-kaj-fahm se ho tab munfak
kisi dawa se dum-e-sag ke gar kaji nikle
hazar shukr ki 'insha' kisi ki mahfil mein
KHafa se aae the par ho hansi-KHushi nikle
- Kulliyat-e-inshaallah khan insha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.