Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

galim-o-KHirqa aba-o-qaba se lagte hain

Ataullah Sajjad

galim-o-KHirqa aba-o-qaba se lagte hain

Ataullah Sajjad

MORE BYAtaullah Sajjad

    galīm-o-ḳhirqa abā-o-qabā se lagte haiñ

    ki ahl-e-dil bhī ab ahl-e-riyā se lagte haiñ

    visāl-o-hijr ke mausam kuchh aise badle haiñ

    ki vo qarīb haiñ lekin judā se lagte haiñ

    Dasegā un ko pashemāniyoñ saañp zarūr

    ki sab hasīn qalopatra se lagte haiñ

    kisī se chāragarī umiid kyā rakhiye

    ki ab to tiir se dil par duā se lagte haiñ

    nazar meñ jin zamāna nahīñ samātā thā

    jo nahīñ hai to be aasrā se lagte haiñ

    nigāh-e-dost na in sair-chashmī par

    ye tishna-lab to zamānoñ ke pyāse lagte haiñ

    jo tai karo to ye lagtā hai umr saarī lage

    vo fāsle ki ba-zāhir zarā se lagte haiñ

    na iltifāt na begānagī magar phir bhī

    kuchh ajnabī se to kuchh āshnā se lagte haiñ

    jo duur se nazar aate haiñ be-sutūñ tarah

    qarīb ke jo dekho zarā se lagte haiñ

    musāfirān-e-rah-e-dil kahīñ bhī hoñ 'sajjād'

    ye dil-girafta baham āshnā se lagte haiñ

    galim-o-KHirqa aba-o-qaba se lagte hain

    ki ahl-e-dil bhi ab ahl-e-riya se lagte hain

    visal-o-hijr ke mausam kuchh aise badle hain

    ki wo qarib hain lekin juda se lagte hain

    Dasega un ko pashemaniyon ka sanp zarur

    ki sab hasin qalopatra se lagte hain

    kisi se chaaragari ki umid kya rakhiye

    ki ab to tir se dil par dua se lagte hain

    nazar mein jin ki zamana nahin samata tha

    jo tu nahin hai to be aasra se lagte hain

    nigah-e-dost na ja in ki sair-chashmi par

    ye tishna-lab to zamanon ke pyase lagte hain

    jo tai karo to ye lagta hai umr sari lage

    wo fasle ki ba-zahir zara se lagte hain

    na iltifat na beganagi magar phir bhi

    kuchh ajnabi se to kuchh aashna se lagte hain

    jo dur se nazar aate hain be-sutun ki tarah

    qarib ja ke jo dekho zara se lagte hain

    musafiran-e-rah-e-dil kahin bhi hon 'sajjad'

    ye dil-girafta baham aashna se lagte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now