galiyon galiyon shor macha hai ek fitna bedar hua
galiyoñ galiyoñ shor machā hai ik fitna bedār huā
sabr-o-sukūñ ke lamhe ġhārat ziist se jī bezār huā
zulm-o-sitam me.ār-e-siyāsat kizb-o-riyā aqdār-e-hayāt
harf-e-sadāqat kam-zarfoñ meñ kitnā zalīl-o-ḳhvār huā
jin ke laboñ par harf-e-vafā thā jin kī zabāñ par sidq-o-safā
un kī ik ik tarz-e-adā par ahl-e-ḳhirad kā vaar huā
pahle bhī kab ghar meñ sukūñ thā kis ko farāġhat hāsil thī
lekin ab to lamha lamha ḳhanjar aur talvār huā
ham bhī mad.h-sarā.ī karte ham bhī qasīda-go hote
shukr hai ḳhvāhish-e-jāh meñ haa.il shā.ir kā pindār huā
tark-e-ta.alluq karne par maiñ kyā kyā qahr se guzrā huuñ
'vāsil' ziist kā lamha lamha ḳhud mujh se bezār huā
galiyon galiyon shor macha hai ek fitna bedar hua
sabr-o-sukun ke lamhe ghaarat zist se ji bezar hua
zulm-o-sitam mear-e-siyasat kizb-o-riya aqdar-e-hayat
harf-e-sadaqat kam-zarfon mein kitna zalil-o-KHwar hua
jin ke labon par harf-e-wafa tha jin ki zaban par sidq-o-safa
un ki ek ek tarz-e-ada par ahl-e-KHirad ka war hua
pahle bhi kab ghar mein sukun tha kis ko faraghat hasil thi
lekin ab to lamha lamha KHanjar aur talwar hua
hum bhi madh-sarai karte hum bhi qasida-go hote
shukr hai KHwahish-e-jah mein hail shair ka pindar hua
tark-e-talluq karne par main kya kya qahr se guzra hun
'wasil' zist ka lamha lamha KHud mujh se bezar hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.