galiyon ki bas KHak uDa ke jaana hai
galiyoñ kī bas ḳhaak uḌā ke jaanā hai
ham ko bhī āvāz lagā ke jaanā hai
raste meñ dīvār hai TuuTe ḳhvāboñ kī
ham ko vo dīvār girā ke jaanā hai
ham bhī ik din aa.egā jab jā.eñge
ham ko bhī ye rasm nibhā ke jaanā hai
jo bhī hai vo sab miTTī ho jā.egā
ham ko bas ik ḳhvāb bachā ke jaanā hai
mere andar sadiyoñ kī ḳhāmoshī hai
tum ko vo āvāz sunā ke jaanā hai
tum ko bhī ik ḳhvāb mukammal karnā thā
ham ko bhī tasvīr banā ke jaanā hai
galiyon ki bas KHak uDa ke jaana hai
hum ko bhi aawaz laga ke jaana hai
raste mein diwar hai TuTe KHwabon ki
hum ko wo diwar gira ke jaana hai
hum bhi ek din aaega jab jaenge
hum ko bhi ye rasm nibha ke jaana hai
jo bhi hai wo sab miTTi ho jaega
hum ko bas ek KHwab bacha ke jaana hai
mere andar sadiyon ki KHamoshi hai
tum ko wo aawaz suna ke jaana hai
tum ko bhi ek KHwab mukammal karna tha
hum ko bhi taswir bana ke jaana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.