galiyon mein meri ganw ka Dar bol raha hai
galiyoñ meñ mirī gaañv kā Dar bol rahā hai
lagtā hai siyāsat kā asar bol rahā hai
chhāle haiñ mire paañv meñ pur-ḳhār hai rasta
āsāñ nahīñ manzil ye safar bol rahā hai
tanhā.iyāñ rakhtī na kahīñ kā hameñ logo
bachchoñ ke chahakne se ye ghar bol rahā hai
sāzish ke sabab aag lagā.ī ga.ī har sū
bastī meñ ujāloñ kā safar bol rahā hai
aise bhī kiyā jaatā hai sachchā.ī ko zāhir
neze pe laTaktā huā sar bol rahā hai
kal tak jo riyā-kāroñ ke changul meñ phañsā thā
ab merī himāyat meñ nagar bol rahā hai
ho tāj-mahal yā ki ajantā kī guphā.eñ
fankār ke hāthoñ kā hunar bol rahā hai
dushman hai vo rāvan kī tarah vaar karegā
har samt fasādāt kā Dar bol rahā hai
ik tum hī nahīñ bolne vaale yahāñ 'sājid'
kahne do use vo bhī agar bol rahā hai
galiyon mein meri ganw ka Dar bol raha hai
lagta hai siyasat ka asar bol raha hai
chhaale hain mere panw mein pur-KHar hai rasta
aasan nahin manzil ye safar bol raha hai
tanhaiyan rakhti na kahin ka hamein logo
bachchon ke chahakne se ye ghar bol raha hai
sazish ke sabab aag lagai gai har su
basti mein ujalon ka safar bol raha hai
aise bhi kiya jata hai sachchai ko zahir
neze pe laTakta hua sar bol raha hai
kal tak jo riya-karon ke changul mein phansa tha
ab meri himayat mein nagar bol raha hai
ho taj-mahal ya ki ajanta ki guphaen
fankar ke hathon ka hunar bol raha hai
dushman hai wo rawan ki tarah war karega
har samt fasadat ka Dar bol raha hai
ek tum hi nahin bolne wale yahan 'sajid'
kahne do use wo bhi agar bol raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.