gham bhi fani KHushi bhi fani hai
ġham bhī faanī ḳhushī bhī faanī hai
haa.e kyā ḳhuub zindagānī hai
kis tamanna se tujh ko chāhā thā
kis mohabbat se haar maanī hai
rang bhī sūkhne lage saare
aur tasvīr bhī banānī hai
fikr rahtī hai in dinoñ mujh ko
ye udāsī bhī haar jaanī hai
maiñ pilātā huuñ jang meñ paanī
teġh āḳhir to suukh jaanī hai
us se kahnā ki ek shahzāda
jang laḌtā hai jaan jaanī hai
gham bhi fani KHushi bhi fani hai
hae kya KHub zindagani hai
kis tamanna se tujh ko chaha tha
kis mohabbat se haar mani hai
rang bhi sukhne lage sare
aur taswir bhi banani hai
fikr rahti hai in dinon mujh ko
ye udasi bhi haar jaani hai
main pilata hun jang mein pani
tegh aaKHir to sukh jaani hai
us se kahna ki ek shahzada
jang laDta hai jaan jaani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.