gham churaate ro paDe the
ġham churāte ro paḌe the
ham hañsāte ro paḌe the
jo ġhazal thī naam tere
gungunāte ro paḌe the
hañs rahe the kaafī din se
muskurāte ro paḌe the
duur se kahte the ḳhush haiñ
paas aate ro paḌe the
aag dil kī thī bujhānī
ḳhat jalāte ro paḌe the
hijr meñ ye sab sitāre
jhilmilāte ro paḌe the
baḌh gayā thā dard had se
hañste gaate ro paḌe the
shahr ḳhushiyāñ khā gayā thā
gaañv jaate ro paḌe the
'ishq kā thā imtihāñ vo
āzmāte ro paḌe the
soch kaisā vāqi'a thā
dil dukhāte ro paḌe the
gham churaate ro paDe the
hum hansate ro paDe the
jo ghazal thi nam tere
gungunate ro paDe the
hans rahe the kafi din se
muskuraate ro paDe the
dur se kahte the KHush hain
pas aate ro paDe the
aag dil ki thi bujhani
KHat jalate ro paDe the
hijr mein ye sab sitare
jhilmilate ro paDe the
baDh gaya tha dard had se
hanste gate ro paDe the
shahr KHushiyan kha gaya tha
ganw jate ro paDe the
'ishq ka tha imtihan wo
aazmate ro paDe the
soch kaisa waqi'a tha
dil dukhate ro paDe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.